हिंदी फिल्म इंडस्ट्री में हिंदी

katrina kaif ko hindi nahi aati…upen patel bhi hindi nahi bol pata…so what?hindi filmon ke actor ke liye zaroori nahi hai ki unhe hindi aati hi ho.hrithik roshan bhi hindi padhna-likhna nahi jaante…abhishek bachchan honge hindi ke kavi dr. harivansh rai bachchan ke pote aur super star amitabh bachchan ke bete…lekin hindi bolne mein woh bhi ladkhadane lagte hain.fardeen.zayed khan,dino morea ke bare mein bhi nahi suna ki unhe hindi aati hai.agar heroin ski baat karen to wahan bhi yahi halaat hain.hindi likhne-padhne ke maamle mein sabhi LIKH LODHA PADH PATTHAR hain.hindi film industry ki yeh aisi khoobi hai jis par humen naaz hona chahiye.is film industry mein pair tikaane ke liye hindi ki jaankari zaroori nahi hai.aap kisi star ke bete hain…ya rishtedaar hain…ye unhe kisi bhi karan se pasand hai to hidi mein qualify karne ki zaroorat nahi hai.film ban jaayegi…aapke dialougue koi aur bol dega.sridevi ko hi dekho…unhone kab jaakar apne dialougue apni aawaz mein bole.mamla ulta hai…agar aap achchhi hindi jaante hain to who aapki kamjori samjhi jaati hai.uske liye aapka majak udaya jata hai.aap ashutosh rana ka udaharan dekh len.aur sirf actor hi kyon?in dino to hum garv se kah sakte hain ki hamare directors aur producers ko bhi hindi nahi aati.direction ke liye hindi ki kya darkaar.emotion ki koi language hoti hai kya?aur phir jin actors se kaam lena hai,unki bhasha mein hi to baat ki ja sakti hai.aap hindi mein bolenge ya samjhayenge to kaun aapki baat samjhega?isliye behtar hai ki usi language mein baat karo,jis mein baat samajh mein aa jaye aur jaldi se film ban jaaye,ek writer-director ne ek mashhoor actor ko apni film ki script di.film ki kahani actor ko bahut pasand aayi thi aur usne bound script ki maang kit thi.writer-director script bhejne ke baad actor ke jawab ke inteza mein baitha raha.ek din achanak actor se mulaqaat ho gayee to usne script ke bare mein poocha.actor ne bagair kisi sharm ke kaha…arre …aap ne to hindi mein script bhej di.aap aisa karo ko ek din aa jao aur padh kar suna do.lagbhag saare actor angrezi mein hi film ka one liner,synopsis aur script maangte hain.koi bhi sharminda nahi hai ki use hindi nahi aati.film actors aur directors ko hindi aati hai na!woh apne boy,makeup man,driver ,spot boy se hindi mein hi to baat karte hain.is se jyada hindi bolne lagenge to Hollywood ke offer milne par kya karenge?kahin unki angrzi mein hindi ki boo aa gayi to?lihaja hindi hamesha parde par bolo.woh bhi writer,director aur dialougue writer ki madad se.main kai baar sochta hoon ki kya hamare actor bole ja rahe samvaad kearth jaante hain?yakin karen jyadatar actor nahi jaante.yeh hindi film industry hai.iska sara karobaar angrezi mein hota hai.film ke muhurat se lekar premier tak mein angrezi hi boli jaati hai.majboori hai ki dialougue hindi mein rakhne padte hain.ab to who bhi badal raha hai.in dino 40 percent dialougue angrezi mein hote hain.census batata hai ki desh mein angrezi bolne-samjhne wale log 10 percent se adhik nahi hain.khaskar hindi belt mein yeh percentage aur bhi kam hai.hamaare actor aur director hindi mein baat hi nahi kar paate.unse sawal hinmdi mein pooch to who jawab angrezi mein dete hain.mnaloom nahi unke dimag mein kaun sa TARGET AUDIENCE rahta hai?hidi ke patrkaron se baat karne mein bhi hindi filmon ke actor-director kanni katte rahte hain.main khud karan johar se ek interview ki koshish do saalon se kar raha hoon.abhi tak karan ko samay nahi mila.kya karan koi thos wajah bata sakte hain?unhe dar lagta hai hindi bolne mein.bhai,phir angrezi mein hi film kyon nahi banate?kya PFC ke readers aur members is pahloo par kuch prakash

Comments

Nitin said…
Checkout Chakpak.com - Its made for movie buffs like you !
Basera said…
भाई, क्या इसे देवनागरी में लिख सकते हो? अच्छा लिखा है लेकिन ऐसा ज़ुल्म क्यों करते हो कि पढ़ने के लिए सारा दिन लगाना पड़े।

Popular posts from this blog

तो शुरू करें

फिल्म समीक्षा: 3 इडियट

फिल्‍म समीक्षा : आई एम कलाम